Maza toh hai intezarr me . . .

Poem_RK

Ek waqt tha jab me tera, tu meri hua karti thi,

Ek waqt tha jab hamari bhi mulakaat hua karti thi

Wo bagicho me ham bhi kabhi din bhar betha karte the

Ankho hi ankho me ek duje ko ham samjha karte the

Mar mitne ko taiyar the ek duje k ham waste

Par samaaj ko aitraz tha is rishte k andaz pe

Jab padh rahe the sath me, toh koi galti thi nahi

Jab ji rahe the sath me, toh koi aafat thi nahi

Par pyaar kar bethe the ham bus yahi galti thi hui

Toh kya hua naam Khan hai, hu toh ek insaan me

Ek mauka hi de do, bankar dikhaunga Radha ka Shyam me

Par nahi samajha paya in pandito aur mullao ko me,

K hu Hindustani, na hindu muslim sikh isai me

Karke juda mujhe usse khush hai aaj samaj ye

Par kaise samjhau is samaj ko, maza toh hai intezaar me. . . .

Leave a Reply

Connect with Facebook

*