Yaroon

yaroon

Akele tanhaiyo me bethe hue ye sochta hun mai ….

Ki gar ye chand shaks na hote to kya hoti zindagi….

Kabhi daant kar mujhe chup kara dete ,

To kabhi mere thahanko par khud bhi sath ho jate,

Kabhi mujhe ekdum akela sa kar dente ,

To kabhi apne sang sara jaha le aantein,

Kabhi kabhi mastiyon me gum ho jate ,

To kabhi ek bade bhai jaise mujhe samjhatein,

Kabhi is khali duniya ko aur khali kar jate,

To kabhi meri duniya ka ek hissa ban jate,

Kabhi chand sikko k liye bhi aad jate,

To kabhi kitne hi mujh par luta jate,

Kabhi to apni sanso tak ka pata nahi lagne dente ,

To kabhi dil ke har raaz mere samne khol jate,

Kabhi to khud aandhi ban ke mujhse ladne aantein,

To kabhi mere liye har tufan se bhi bhid jate,

Log kahtein hai ki pariwar hi sabse bada dost hai,

Par kya kare jab kuchh log hi pariwar ban jate,

Inke liye sari duniya se ladne ko tayyar hun mai,

Magar inke bina to khud ke liye hi bekar hun mai,

Duniya me sahara sabse badi bimari hai,

Par khud ki khushi se inke bina lachar hun mai,

Mere har pal me yahi latein hai tazgi ,

Ki gar ye chand shaks na hote to kya hoti zindagi….

Leave a Reply

Connect with Facebook

*